Daily Journal Day 8 May 11 Sorry for Late Posting
Salam Every one as usual Sunday ko routine se pehle aankh khul gayi. Jese ke aksar hota hai Sunday ko hum sochte hain ke zyada sona hai aur zyada sone ki bajaye jaldi aankh khul jati hai. Sunday ko taqreeban subah sawa aath baje utha. Uth ke nashta kiya. Nashta karne ke foran baad hi jo hai ghar mein mother ne washing machine laga li. Washing machine lagane ke baad jo hai unke sath kapray wash karwaye. Wash karwane ke baad cousin ka ek message aa gaya. Wahi cousin jiski electrician ki dukaan hai, kehta yaar, is dafa zara jaldi aa jana, mere paas kuch project hain, us pe kaam karna hai aur apna laptop bhi lete aana, ek kaam hai. Khair, usne bataya to nahi lekin maine fatafat se kaam khatam karke refresh hue baghair, kapray change kiye baghair hi apna laptop uthaya aur uski dukaan pe chala gaya. Dukaan pe ja ke pata chala ji ke usne apni dukaan ka mujhse poster ya flex banwana tha. Flex bhi maine share kiya aap sab ke sath, dekhiye ga aur batayiye ga kaisa bana hai. Woh banaya, woh banate taqreeban koi ismein chaar ghante lage. Us flex ko banane mein kyun ke use do softwares mein banaya, pehle illustrator mein, phir Canva mein. Aur abhi chunki illustrator pe meri itni practice nahi hai, to usmein kaafi cheezen samajh hi nahi aa rahi thi, kaise bana, kaise nahi. Woh isliye kaafi der lagi. Yani ke kal ka sara din baarah baje se lekar raat paanch baje tak jo hai woh flex banane mein guzar gaya. Chhe baje ghar aaya. Ghar aa ke fresh hua. Fresh ho ke namaz waghera padi, to khana-shana khaya aur isi tarah se bas kal ka din guzar gaya. Khana kha ke abhi us poster mein kuch tweaks karni thi, baitha hi hoon laptop le ke ke thodi der mein aandhi aa gayi. Aandhi itni chali, itni chali, itni aandhi chali, Allah maaf kare. Khair, phir light hi chali gayi. Main so gaya kal raat, isi wajah se main journal bhi share nahi kar paya. Thank you everyone for reading my post, aur poster dekh ke batayiye ga ke kaisa bana hai ๐