- Hm soch bhi nahi sakte ke Allah hum se kitna be-inteha pyar karta hai. Insaan chahe kitni bhi achai kyun na kar le, ek choti si ghalti par taana, shikayat karna aam baat hai. Lekin Allah… wo hamari hazaaron ghaltian, nadaniyan aur kamzorian darguzar kar deta hai. Wo sirf maaf hi nahi karta, balki hamein rizq deta rehta hai, hamein sambhalta rehta hai aur har baar sudharne ka mauqa deta rehta hai. Aur phir bhi hum aksar nashukri kar jate hain.
(Tarjuma): Beshak Allah bohot maaf karne wala aur bohot mehrban hai.”(Surah Baqarah)
- Jab hum par koi musibat aati hai to hum foran ghabra jate hain. Hum ye sochne ke bajaye ke Allah is museebat ke zariye hamein kya sikhana chahta hai, kis buri cheez se bachana chahta hai, aksar Allah ko hi blame karna shuru kar dete hain (na’uzubillah). Shikayatein karte hain ke “ya Allah mere sath hi aisa kyun hota hai?” Jab ke har museebat ek paighaam hoti hai, Allah ka ishara hota hai ke tumhare liye behtar kya hai, wo tumhare dil aur nazar dono saaf karna chahta hai.
(Tarjuma): “Ho sakta hai ke ek cheez tumhare liye pasandeeda na ho aur Allah usi mein tumhare liye khair rakh de.” (Surah Baqarah)
- Agar kabhi lagay ke dua qabool nahi ho rahi, to yaad rakho: Allah do tarah se deta hai, ya wohi cheez de deta hai, ya us se bohat behtar cheez de deta hai. Aur kabhi kabhi woh humein un cheezon se bachata hai jo hum khud maang rahe hotay hain. Kyunki Allah humari soch se zyada door tak dekhta hai.
(Tarjuma): “Ho sakta hai tum ek cheez ko pasand karo jab ke us mein tumhare liye shar ho.” (Surah Baqarah)
- Kabhi kabhi Allah humein delay dekar sikhata hai ke sabr sirf intezar ka naam nahi, balki tawakkul ka naam hai, Allah par poora bharosa rakhna. Jab hum Allah ki planning ko accept karletay hain, hamara dil halka ho jata hai, bechaini kam ho jati hai, aur cheezain dheere dheere behtar hoti chali jati hain. Kyunki Allah kisi ko todta nahi, bas usay behtar banata hai.
(Tarjuma): “Beshak Allah sabr karne walon ke saath hai.” (Surah Baqarah)
Allah se dua hai ke Allah hamein apni maslihaton ko samajhne ki, apne ishare pe chalne ki aur har hal mein shukar ada karne ki taufeeq de. Ameen. Kyunki haqeeqi sukoon sirf Allah ki marzi mn razi hone mein hi chhupa hai.
ALLAH jis haal mein rakhe, khush raho, mutma’in raho,
Aur hamesha Allah ka shukar ada karte raho.