I Met with accident last month. or ma totally bed rest pa hun.Kal ma subah 4:45am pa utha or ma na tahajut ki namaz pari. uske bad ma na Allah se batain ki. phir fajar pari or walida ko quran ka tarjuma par kar sunaya. or phir rest ki thora. Phir ma na kuch pics edit ki lightroom pa apni or dosto ki us k bad nasta kiya. phir social media pa kuch time guzara kuch time benificiary tha or kuch time waste howa jo nhi hona chahiye tha.12;45 pa ma na classes lena start haroon bhai ki. phir usi k mid ma dopahar ka khana khaya kuch notes b banaye. phir zohar pari us k bad phir lecture lena start kiya. kal bahut sari chizain sikhi or zindagi ko guzarne k liye haroon bhai na imp points btaye unko likha. phir bacho se quran ka sabaq suna and namaz asar pari. asar ki namaz k bad ma na freelancing ki classes li and batiji ko ko tution parhayaa. phir namaz e maghrib pari. kal 1 month bad ma na zameen par namaz pari bahut maza aya is cheez ka. uske bad family time spend kiya raat ka khana kha k phir so gya.