I have been thinking about this so much lately and i really wanted to share here as well.
Usually it happens kay hum Allah say kisi cheez, kisi jagha kisi insan kay liya baht duain krtay hain kay woh humain mil jaiy, par us waqt humain woh cheez nai milti aur hum baht down baht sad feel krty hain. Kuch waqt bad apko us cheez pay sabar ajata ha. Ab apko woh cheez shayed chaiyay hoti ha par us shidat say nai chaiya hoti, ap nay usko already let go kr dia hota ha. Aur phir kuch waqt bad woh cheez apko mil jati ha par apko us cheez kay milnay ki khushi nai hoti, jo excitement pehlay thi woh bhi nai rehti. It feels empty maybe.
Par ap sochtay ho kay mainy is kay liya itni duain kien thi par ab jab mujhy yeh cheez mil gai ha toh why am i not happy. You start to question kay maybe ap ungrateful ho rahy ho. And this is a really weird feeling.
Har cheez main Allah ki koi masliyat hoti ha, par shayed tab samajh nai ati aur jab samajh ati ha tab dill ko baht sakoon milta ha!