Aaj Ramzan ka roza bhi hai…aur Jumma ka noor bhi ✨
Socho…Ek din jiske bare me Allah ne Quran me farmaya:
“Ya ayyuhallazina amanu iza nudiya lissalati min yawmil jumu‘ati fas‘aw ila zikrillah…”(Surah Al-Jumu’ah 62:9)
“Aey imaan walon! Jab Jumma ke din namaz ke liye pukara jaye to Allah ke zikr ki taraf daur paro…”
Aur Ramzan ke bare me Allah farmate hain:
“Ya ayyuhallazina amanu kutiba ‘alaykumus siyam…”(Surah Al-Baqarah 2:183)
“Aey imaan walon! Tum par roza farz kiya gaya taake tum parhezgar ban jao.”
Aaj do cheezein saath hain —Roza jo nafs ko saaf karta haiaur Jumma jo gunahon ko dho deta hai.
Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
“Jumma se agle Jumma tak ke gunah maaf kar diye jate hain (agar kabira gunah se bacha jaye).”(Sahih Muslim)
Aur Ramzan ke bare me:
“Jo imaan aur ajar ki niyyat se Ramzan ke roze rakhe, uske pichle gunah maaf kar diye jate hain.”(Sahih Bukhari)
Aaj ka din sirf calendar ka din nahi.Yeh maghfirat ka moka hai.Yeh duaon ka golden time hai.Yeh dil saaf karne ka din hai.
🤲 Aaj Surah Al-Kahf zaroor parho.
🤲 Durood sharif zyada se zyada bhejo.
🤲 Iftar se pehle apni zindagi ki sabse important dua mango.
🤲 Kisi ko maaf karo — shayad Allah tumhe maaf kar de.
Ya Allah,Is Ramzan aur is Mubarak Jumma ke sadqehamare dilon ko roshan farma,hamari rozi me barkat de,hamare gunah maaf kar de,aur hamein apna qareeb bana le. Ameen 🤍