sir ma apni (Garmints ) Ki job KO LA ka bohat parashan hon kayun ky is job sa mari bunyadi zarooryat tak pori nahi kar pa raha ho apni family KO aik achi life dena ka leya ma bohat koshesh ke bad bhi 40 sa 50 hazaar sa uper nahi ja pa raha ho. Kabhi bachy bimar to kabhi Electric bill zayda ajata ha or bohat kuch ghar Ki problem rent wagara .
Or compani Waly ayse hain ky jb dakho argent style ajata ha or os ko banany Ky leya overtime par overtime is qabil hi nahi chorty ke banda kuch or kar pay or money kuch BHi nahi surf 2 sa 3 so ke leya 8 sa 9 bajy tak ruko
KOi ahsaas nahi ha is field ma
Qasoor to Mara hi ha ma NY waqat ki qadar nahi Ki lakin sir ma ab khud KO badalna ha khud ke leya apni family ke leya .
Gussa to jb aata ha khud pa. jb Ammi apne dawai or pansion tak ke payse mary bacho pa laga dati hain . or aysa nalike aik hi beta hn ka on KO dene ke bajay on ke payse kharch hote hain.
Plz sir mary koi relationship ma ya KOi Friends ma bhi koi nahi ha . Jo mujhy guide kar saky .
Ma sir itna chata ho aap mujhy khud sa guide Karin ma karna chata ho bs sahi guide lime
Aap mary ustad ho or kahty hain ustad waldain ke barabar hoty hain.
Ma ny apny 40 saal bs ayse hi fazool ma guzaar deye
LA kin ab ma apni galtiyoun KO sahi karna ha is ke leya mujhy ap ka sath or advice Ki bohat zaroorat ha
Ma apne nacho ke leya wo baap banna ha Jo mary bachy kahe ya ha mera baap.
Na ke ya kahe ke hamary baap ne keya hi kaya ha.
Ma ne bohat kuch karna ha or life ka kuch pata nahi bs ALL AH sa yahi dua karta ho ke mujhy itni zindagi da mere Rub ke ma apni family KO apni maa ko achi life da sako Amen.