Rizq taluq sirf paison sa nh ha paison k ilawa ek acha rizq apki sehat, dil ka sukoon. achi family, achy dst, naik aulaad, naik biwi, Iman or hidayat, apka waqt ya sab cheezain rizq ma shamil hain.
ya sab Allah ka zimaye ha wo hi daina wala ha or usi na daina ha hamara kam itna ha ka hum Allah ka farma bardar banda ban jayen jo hukum Allah na humain dia ha usy follow krain or ek achi pur sukoon wali zindagi guzarain or bataon ko jo humain Allah or hamara pyara nabi ( SAW ) na seekhayi ha usy seekhain ... ya sab apka rizq haa..
RIZQ KAAM HONA KI WAJAH :
- Namaz ka chorna
- Walidain ki na-farmani
- Nashukri krna
- Gunah aur na-farmaani krna
- Tauba na krna
- Haram khana
RIZQ MA BARKAT HONA KI WAJH :
- Namazon ki pabandi
- Allah ka Shukar ada krna
- Sadqaat krna
- Taqwa or Allah pa tawaqul krna
- Istighfar krna
- Halal khana hamesha such bolna or kisi ka apni zaat sa nuqsan na krna
Rizq ki or bh boht sari misaalyen hain humain chiya ka hum Allah ka wo banda ban jaye jab is duniya sa jayen to Allah humsa mulaqaat ka shooq ma ho galtiyan Insaan sa hi hoti hain Allah maaf krna wala ha humain har waqt Allah sa apna gunnahon ki maafi mangni chiya or wo rizq hum kamaye jb is duniya sa bh chala jayen to wo hamara lia sadqah jariyah ban jaye.
Jazak Allah