Assalamu Alaikum..
• Kal maine apna daily journal post kiya.
• Us ke baad ghar ki safai ki.
• Safai ke baad Jamia padhne chali gayi waha Zuhar ki Namaz Ada ki.
• Takreeban 3 baje ghar wapas aa gayi kyun ke hamare ghar milaad tha.
• Free hokar kuch der rest kiya.
• Asr ki namaz ada ki.
• Phir kitchen saaf ki.
• Maghrib ki azaan hui to Maghrib ki namaz ada ki.
• Family ke saath khana khaya aur movie dekhi.
Isha ki namaz ada ki.
• Us ke baad hum sab dusri Apa ke ghar gaye.
Wahan se takreeban 2 baje raat ko ghar wapas aaye.
• Ghar aakar itni thak gayi thi ke Fajr ki namaz ada na kar saki aur so gayi.
• Meri aankh 9 baje khuli.
• Uth kar Fajr ki namaz ada ki aur zikr kiya.
• Phir ek lecture liya: Magic Wand Trick to Kill Brain Fog.
• Lecture ke notes tayar karke post kiye.
• Ab ghar ki safai kar rahi hoon, to socha ke daily journal bhi likh loon.
Allah Hafiz. 🤍
In shaa Allah aaj main waqt par daily journal likhoongi or ek lecture bhi loongi.