Assalamu Alaikum!
• Kal daily journal post karne ke baad main so gayi thi.
• meri aankh 11 baje khuli.
• Uth kar maine apne test ki tayari ki.
• Phir maine nashta kiya or 12 baje tak apne kaam mukammal kiye.
• Us ke baad main 1 bajhy Jamia chali gayi or 4 baje chuti ho gai
• Jamia ke baad main Sehar or Malaika KY sath cheez party ki or mango khy or hum ne saath achha waqt guzara.
• Taqriban 5 baje main ghar wapas aa gayi.
• Ghar aa kar kuch der phone use kiya.
• Phir maine ek lecture dekha..us ke notes banaye or apni video editing par bhi kaam kiya.
• Shaam ko maine thori der drama dekha.
• Ab main sone lagi hoon taake kal fresh ho kar apne din ki shuruaat kar sakoon.
Allah Hafiz and Good night everyone✨