Allah talah nae insan koh mitti sae paida kia hai mitti mah ajzai ,barqarari or narami ki khubiya hoti hai or mitti jhuki hui zameen pr beechi hui hoti hai Insaan ko Allah ne mitti se paida kiya. Quran mein iske mukhtalif marhalaat bataye gaye hain : jaise sookhi mitti, sadi hui mitti, aur bajne wali mitti. Is wajah se insaan ke andar therao, wazn , aur aajzi hoti hai. jab kae aggh mah zahri chamak dhamak hoti hai woh unchi urti hai or taqat or harrarat kah vibe deti hai woh jhukti nhi hai agr osko bujhnae lgye tw os mah or loundness ati hai ise wajah sae sheetan ki nature mah takabur tapish hai ab dekha jaye tw insan ki creation sab sae akhir mah hui hai or jinnat or farishtae hazaro saal sae duniya or asmano mah raha krte thy jab Allah talah nae insan ki creation ki osko apna kahalifa banya tw sheetan koh is pr hasad huwa kyu kae woh zahri cheezo koh dekh kr takabur mah agya kae khlafat ose kyu ni mili insano koh kyu mili is wajaha sae woh nikla gya or humare liye ek challenege ban gya hai