Agar aap mard hain to ye teen aadatein aap ki aanewali zindagi ko bohot behtar bana sakti hain aur agar aap ye aadatein nahi bana sakte to aap ki aanewali zindagi bohot mushkil hone wali hai mere dost.
Number 1, Shukar guzar ho.
Ye ek aadat hai jo aap ko hikmat-e-amli se apne dimaag par qaboo paane ki taqat deti hai. Rozana ki buniyad par apni zindagi mein aisi cheezein talaash karein jiske liye aap Allah ka shukar ada kar saken aur aisa karne se aap mehsoos karenge ke aap ke paas sab kuch hai. Ye woh positive tawajjo hai jo aap ko apni zindagi ke har masle se larnay ke liye tayar rakhegi.
Number 2, Warzish.
Agar aap ya aap ki team aap ki sehat aur aap ke jism ki qadr ko samajhne se qasir hai to 30 saal ke baad aap ko is cheez ki bohot bhari qeemat chukani paray gi. Kamzor jism wala shakhs apne aur apne ghar walon ke liye bojh ban jata hai. Is liye ladke baqaidgi se warzish karein.
Number 3, Ibadat.
Allah ke samne sar jhukana aap ko sabr, tawakkul aur insaniyat sikhata hai. Ye cheezein aap ko zindagi ke baray masail ko samajhne aur phir unse nimatne mein madad dengi. To mere bhai zindagi ki hilchal mein dua karna na bhoolna.
Ab agar aap in teeno baaton ko samajh gaye to is baat ko sab ke sath share karen