Aaj main aik baat soch raha tha, to socha k community k saath bhi share karon.
Time shayad zindagi ka sab sy valuable resource hai, aisa resource jo na kharida ja sakta hai aur na hi kabhi wapas aata hai. Aur jo insaan waqt ki qadr seekh leta hai, woh asal mein apni zindagi ki qadr seekh leta hai.
Hum ye soch rahy hote hain ke abhi waqt bohat hai. Kal kar lenge. Baad mein dekh lenge. Lekin waqt intezar nahi karta. Jo waqt seekhne, apni skills ko behtar banane, aur Allah ke qareeb hone mein lagaya jata hai, woh zaya nahi hota woh investment hoti hai. Waqt sirf guzarne k liye nahi hota, balkay insaan ko banany k liye hota hai. Shayad isi liye buzurg kehte hain k jo waqt ki qadr karta hai, waqt uski qadr karta hai.
Aaj jab mushkil se 2-3 ghantay apni zindagi behtar banany k liye nikal pata hoon, to khud se sawal karta hoon jab mery paas waqt hi waqt tha, tab main kya kar raha tha? Shayad agar us waqt thora zyada hosh hota, to aaj bohat kuch mukhtalif hota. Lekin afsos mein rehna bhi waqt ka zaya hi hai. Jo lamha haath mein hai, wahi asal mein hamara hai aur ab jo hai usi my mehnat karni hai aur apna best dena hai hai taa k aaj sy 5 saal baad dubara ye soch na aaye k kash apny time ko sahi jaga invest kia hota.