Bismillah-ir-Rahman-ir-Raheem
🌅 Subah
Aaj mera din Allah ke naam se shuru hua.Main ne uth kar Fajr ki namaz ada ki aur sakoon ke sath Quran Pak ki tilawat ki.Is ke baad main ne garam pani piya.Phir ami abu ke liye nashta tayar kiya aur unhein diya .Us ke baad apne liye bhi nashta banaya aur shukar ke sath khaya. 📝 Planning Time
Nashtay ke baad main ne apna daily journal likha.Aaj ke liye to-do list banai aur apni niyyat ki ke har kaam Allah ko razi karne ke liye hoga.
🏠 Dopahar
Is ke baad main ne ghar ke kaam shuru kiye — safai, tarteeb aur khana pakana.Dopehar ka khana tayar kiya aur sab ko diya.Phir Zuhr ki namaz ada ki aur thora rest kiya taake energy wapas aa jaye.
💻 Kaam ka Waqt
Namaz ke baad main ne apne kaam aur classes ke liye khud ko ready kiya.Puri tawajjoh ke sath 3–4 ghantay kaam kiya.Is dauran phone aur bekaar cheezon se door reh kar focus rakha. 🌸ALL prayers on time:
Fajar✔️
Zohar✔️
Asr✔️
Maghrib✔️
Isha✔️
🌇 Shaam
Kaam se break liya aur family time spend kiya aur dil ko sakoon mila.
🌙 Raat
Raat ko khana khaya aur phir thora sa aur kaam complete kiya.Takreeban 10–11 baje main kaam se farigh hui.Us ke baad ghar walon ke sath waqt guzara aur Allah ka shukar ada kiya. 🌌 Tahajjud & Reflection
Raat ke aakhri pehar main ne Tahajjud ki namaz ada ki.Is waqt main ne apne dil ki baatein Allah se ki,duaen maangi, ghaltiyon par tauba ki aur rehmat ki umeed rakhi. 🌄 Fajr & End of Day
Sone se pehle Fajr ka alarm lagaya.Fajr ke waqt uth kar namaz ada ki, Quran Pak padha aur phir dobara rest kiya.
🤍 Aaj ka Khulasa
Aaj ka din:Ibadat, zimmedari, mehnat, sabr aur shukar ke sath guzra.
Alhamdulillah ala kulli haal 🌸