ููุง ููููููููู ูฑูููููู ููููุณูุง ุฅููููุง ููุณูุนูููุง "(Surah Al-Baqarah 2:286)
"Allah kisi jaan ko uski taqat se zyada bojh nahi deta."
โจ Aaj agar thakaan mehsoos ho rahi hai ya zimmedariyan zyada lag rahi hain, to yaad rakhein โ jo bhi aap par hai, woh aap ki capacity ke andar hi hai. Allah ne aap ko us ke qabil banaya hai.
Allah aap ke din mein aasani aur barkat de, Ameen ๐ค
๐ 3:00 AM โslept
Raat ko taqreeban 3 baje neend aayi aur main so gayi.
๐ 4:30 AM โ Sehri & Fajr
Saare 4 baje uthi, sehri ki tayyari ki aur sehri ki.Us ke baad Fajr ki namaz ada ki. Namaz ke baad 6 baje dobara so gayi. ๐ 9:00 AM โ Uthi & Iftar Party Preparation
9 baje uthna tha kyunki aaj ghar par Iftar party thi aur kaafi guests invite thay.Sab se pehle ghar ki safai ki, poora setup ready kiya aur jahan dastarkhwan lagana tha wahan arrangement set ki.
๐ Kitchen Time โ 12:00 PM se 3/4 PM tak
Us ke baad kitchen ka kaam start kiya.Takreeban 3 se 4 ghante lag gaye kyunki 6-7 items banani thi aur quantity bhi zyada thi.
Aaj ka din bohat busy raha kyunki Iftar ghar par thi aur kaam bhi bohat zyada tha.
๐ Iftar Time โ Maghrib ke Qareeb
Iftar ke waqt sab ko serve karne mein busy rahi, is liye foran namaz ka time nahi mil saka.Jab thori fursat mili to sab se pehle Maghrib aur phir Isha ki namaz ada ki.
โ Evening โ Thora Rest
Namaz ke baad thori dair friends ke sath baith kar relax kiya, phir dobara kitchen mein chali gayi.
๐ฝ Dinner & Cleaning โ 9:00 PM ke baad
Ammi ko bola ke aap rest karein kyunki poora din mere sath lagi rahi hain.Main ne apni cousin ke sath mil kar saare bartan wash kiye.Takreeban 30 minutes se 1 ghanta lag gaya safai mein.
Us ke baad khana khaya aur thori si chai pi.
๐ 12:00 โ 12:30 AM โ Wind Up
Raat takreeban 12 ya 12:30 baj gaye.
Bohat zyada thakaan mehsoos ho rahi thi.Sone ki tayyari ki aur Allah ka shukar ada kiya ke aaj ka busy din khairiyat se guzar gaya.
๐ Kal Ka Plan (Productive Routine) 5 March 2026
- Dummy bidding karni hai
- Next Video editing start karni hai
- Sunday tak assignment complete karni hai
- Apne group mein update deni hai ke video editing kahan tak pohanchi
โจ Reflection:Aaj ka din bohat busy lekin productive tha. Thakaan zaroor hui lekin dil khush hai ke mehmaan nawazi bhi ho gayi aur ibadat bhi ada ho gayi. InshaAllah kal se phir apni productive routine start hogi.