Date: 27 / 02 / 2026
Aaj main 4:00 PM so kar utha. Mujhe pata hai ke main kaafi late utha, lekin kal main nafli etekaaf mein gaya hua tha aur wahan se late ghar aaya tha, is liye uthna late ho gaya.
Uthne ke baad main ne namaz ada ki aur ghar ke thore kaam kiye. Us ke baad main dost ke saath roza iftar karne chala gaya.
Iftar ke baad main ghar aaya, thori der phone use kiya aur phir taraweeh parhne masjid chala gaya. Taraweeh ke baad ghar aa kar khana khaya.
Khana khane ke baad main kaam karne baith gaya. Abhi sehri ke time main daily journal likh raha hoon aur saath saath LinkedIn scroll kar raha hoon.
Is ke baad main Skool par thori scrolling aur research karunga taake freelancing aur agency ke liye aur ideas mil saken.