🌅 Subha
Main subha 8:40 pe utha. Fresh hone ke baad ami ke saath baith kar nashta kiya. 9:20 pe office ke liye nikal gaya.
Raaste mein bohat zyada dhundh thi, jis ki wajah se main aaj office late pohoncha. Samajh nahi aa rahi ke is baar itni thand kyun ho rahi hai. Dhundh bhi din ba din barhti ja rahi hai aur barish bhi nahi ho rahi.
🏢 Office ka waqt
Office mein aaj kuch khaas kaam nahi tha. Main lagbhag 12 baje free ho chuka tha.
1 baje masjid gaya, Jumma ka khutba suna. 1:45 par Jumma ki namaz ada ki aur dua maang kar masjid se bahar nikal aaya.
Har Jumma company apne workers ko biryani khilati hai. Maine apni plate li aur apni jagah baith kar araam se biryani khayi. 2:30 par free hua aur apne room chala gaya.
🌇 Shaam
Room mein rehte rehte 4 bj gaye. Maine Asar ki namaz ada ki aur wapas room aa kar baith gaya. Kuch khaas kaam nahi tha, is liye boriyat mehsoos hoti rahi.
5:15 par Maghrib ki namaz parhi aur phir chutti hone ka intezar karta raha.
🌙 Dost ke saath waqt
6:30 par chutti hui aur main seedha dost ke ghar chala gaya. 7 baje dost ke paas pohoncha aur takreeban 10 baje tak wahin raha.
Hum dono paidal chalte hue bohat si baatein karte rahe. Mujhe apne is dost ke saath waqt guzarna bohat acha lagta hai, kyun ke woh bhi mujh se mukhlis hai aur main bhi. Hum dono aik doosre ke saath har baat share karte hain, koi baat chhupate nahi.
Maine use Media Valley School Community ke baare mein bataya aur join karne ka mashwara diya. Woh Fiverr par kaam karta hai aur kaafi arsay se client na milne ki wajah se pareshan tha. Maine use honsla diya ke is community se use kuch na kuch seekhne ko zaroor milega.
Hum ne takreeban 1 se 1.5 ghanta walk ki. Phir us ke ghar walon ke liye burger lene bike par gaye, wapas aa kar us ke saath baith kar khana khaya aur kuch der baat ki.
🏠 Raat
10 baje main wapas ghar ke liye nikal aaya aur 10:30 par ghar pohoncha. Aadha ghanta ghar walon ke saath baith kar baatein ki.
Us ke baad laptop on kiya, community open ki, "Update Your Brain" ki kuch videos dekhin. Phir daily journal likh kar post kiya. Community band kar ke kuch gaane sune.
Ab main sone ja raha hoon.
✨ Aaj ka Ehsaas
Aaj ka din zyada busy nahi tha, lekin sukoon bhara tha — khaaskar dost ke saath guzra hua waqt bohat acha laga.