Day 48 - Tuesday 30.12. 25
- 5:40 AM - Tahajjud:
- Tahajjud ke liye aankh khuli. Neend se bedaar ho kar ALLAH ki taraf mutawajah tha. Wuzu kar ke Tahajjud ada ki. Is waqt dil bohat hopeful mehsoos hua. ALLAH se rizq-e-halal earning, skill learning aur family ke liye dil se dua ki.
- 6:00 AM - Fajar:
- Fajar ki Namaz ada ki. Namaz ke baad thori dair zikr aur shukar ki halat mein guzri. Phir Quran Kareem ki Tilawat ki aur yeh socha ke agar subha ALLAH ke naam se ho to din mein himmat rehti hai.
- 6:30 AM: Fajar ke baad thora rest kiya.
- 7:30 AM: Uth kar fresh hua aur Job ki tayyari shuru ki. Dil mein niyyat ki ke aaj ka kaam imandari aur sabar ke sath karna hai.
- 9:00 AM: Breakfast kiya (chai-paratha) ke sath apne din ka mental plan banaya.
- 9:30 AM: Job ke liye ghar se nikla.
- 9:30 AM - 6:00 PM - Job Time: Aur job ka kaam karte hue dil mein ya tha: "Har halal mehnat ibadat hoti hai".
- 1:20 PM - Zohar / Lunch Break:
- Pahly Zohar ada ki phir halka lunch kiya.
- 4:45 PM - Namaz Asar: Asar ki Namaz ada ki. Dil ko sukoon mila. Namaz ke baad ALLAH se ye dua ki: Rizq mein barkat. Sabor aur himmat. Skill seekhne ka shauq.
- 6:00 PM - Namaz Maghrib:
- Maghrib ki Namaz ada ki. Job ke baad ghar pohanch kar thakan ke bawajood maza aya aur shukar ada kiya.
- 7:30 PM - Family Time:
- Dinner family ke sath kiya. Simple khana lekin dil mutmain tha.
- 8:30 PM - Skill and Self-Growth Time:
- Aaj lead generation aur apni consistency par focus kiya. Yeh realize hua ke roz thora karna bhi bohat badi jeet hoti hai. Bas mustaqil karty rehna hai. Aaj ka strong realization: "Job aur skill dono sath chal sakte hain agar niyyat saaf ho".
- 10:30 PM - Isha Namaz:
- sha ki Namaz ada ki. Namaz ke baad apni kamzoriyon aur bahtri ka liya dua ki.
[Day Ending Note]
Aaj ka din shukar aur sabar ke sath khatam hua.
Kuch kaam perfect nahi hue lekin niyyat saaf rahi. ALLAH ne jitni himmat di - utna best dene ki koshish ki. Jo reh gaya usay kal ke liye chor diya. Dil mein koi bojh nahi, sirf umeed aur yaqeen hai aur ALLAH per bharosa hai.
Namaz Time Summary:
- Tahajjud: 5:40 - 6:00 √
- Fajar: 6:00 - 6:30 √
- Asar: 4:45 - 5:00 √
- Maghrib: 6:00 - 6:20 √
- Isha: 10:30 - 11:00 √