Assalamualaikum to all community!
Aj ma subha 12 baje otha Kyu ke Raat ma late soya tha aisa nhi ke ma Sona nhi Chahta Lekin 3 se 4 din se mujhe musalsal neend nhi ati to phone use karta rahta hu aur yahi Meri Sab se bari kamzori ban chuki ha othte hi aj to Ghar walo ne bohot bezati ki kyuke ma berozgaar hu bas phir pora din hi aj aisa guzra breakfast Kiya 1 baje tak phir chachu ke pass Chala gya pora din aj dimagh depressed Raha yahi soch aarahi thi Baar Baar mar hi Jana chahiye Kya kare 5 se 10 jaga gya job ke lyia Lekin har Kisi ne aasra diya bas Khair phir Asr ki namaz parhi Kuch Dil ma sukoon Mila Meri walida ka khawab ha ke ma navy ma Jao to aj hi apply Karna ha bas isi waja se ho Sakta ha ma tayari karo to community ma time na de pao Lekin mane mind mana lyia ha ke In Sha Allah isi community se Kuch na kuch Karna ha chorna ha bas ma aik ho Baar focus nhi ho pa Raha.sab se request ha mere lyia Dua kare aur Meri bhi Dua ha Allah pak Sab ko kamiyab kare Ameen