Daily Journal – 13 December
  • Assalam-o-Alaikum, umeed karti hoon ke aap sab khairiyat se honge.
  • Aaj subah 6:50 baje meri aankh khuli.
  • Main ne Fajr ki namaz 7 baje parhi, kyun ke alarm lagaya tha lekin baja nahi.
  • Namaz ke baad main ne nashta kiya.
  • Phir main parhne baith gai kyun ke Monday ko Pharmaceutical ka paper hai.
  • Parhte parhte 9 baj gaye.
  • Is dauran mere mamu ka beta Khizar (6th class) m h woh aaya, usay maths mein problem ho rahi thi kyun ke us ka bhi Monday ko paper hai.
  • Us ne kaha ke “Appi abhi m so jao, uth kar parh luga” aur woh sogaya.
  • Main 12 baje tak parhti rahi. or sth sth apne ghr ke kam bh krliye
  • Phir Khizar uth gaya, main ne usay maths parhayi aur saath saath apni parhai bhi karti rahi.
  • Itne mein meri behan apne bachon ke saath ghar aa gayi, to main un mein busy ho gayi.
  • Asar ki namaz parhi.
  • Phir Khizar ko maths ki kaafi problems solve karwai.
  • Asar aur Maghrib dono namazen parhi.
  • Shaam ko family ke saath time spend kiya.
  • Aaj ka poora din is tarah guzar gaya.
  • Aaj main ne socha tha ke aaj se video lectures dekhna shuru kar doon, lekin time nahi mila.
  • Raat ho gayi, main ne Isha ki namaz parhi.
  • Phir socha ke daily journal likh loon, aur ab sone ja rahi hoon.
  • Alhamdulillah, Allah ka shukar hai ke aaj ka din bohat acha guzra aur khair o afiyat se tamam hua۔
1
1 comment
Khadija Siddiqui
3
Daily Journal – 13 December
powered by
Make $1k-$10k in 30 days
skool.com/make-1k-5k-in-30-days-8449
Media Valley School is the fastest way to hit $1K/month with freelancing or agency work. Guaranteed.
Land your first $1K month in 30 days
Build your own community
Bring people together around your passion and get paid.
Powered by