Assalamu Alaikum!
Mai aik cheez bohat zyada face kar raha hun: main kisi bhi kaam ko zyada dair tak consistency ke sath continue nahi kar paata. Shuru mein main roz poore focus ke sath har cheez karta hun, lekin kuch din guzarte hi mera focus shift ho jata hai. Phir ya to main kisi doosri cheez ki taraf divert ho jata hun, ya phir doosre kaamon ko zyada serious le kar un mein busy ho jata hun.
Ab mujhe samajh nahi aa raha ke main apna schedule kis tarah set karun taake jo bhi cheez main start karun, usay consistency ke sath continue bhi rakh sakun. Aj bh mai 2 se 3 din ki absence k bd community mai active hua hun.