Assalam-o-Alaikum everyone, mujhy advice chahye un sa Jo freelancing krty hai.Mera ek client LinkedIn se aaya tha, usy 1 print on demand t-shirt editor bnwana tha usna apna project Ka link bhi dya tha and mana summary bna kr send krdi thi ke Kia problems ha and Kia solutions huskta ha.Uske baad maine do reminders bheje hain magar abhi tak koi response nahi aaya (1week sa zyada hugya ha).
Aisi situation mein ab mujhe kya karna chahiye?
Kya mazeed wait karna behtar hai ya koi aur tareeka apnaun?