My understanding on this is k Adam Weishaupt aur Illuminati ki kahani is baat ki behtareen misaal hai ke insaan step-by-step kaise bhatakta hai. Church ke zulm aur na-insafi se tang aakar Weishaupt ne aik achay maqsad se shuruwat ki, lekin balance khokar wo mazhab aur divine guidance se hi door ho gaya. Yehi Iblees ka tareeqa ("Khutwaat-ash-Shaytaan") hai ke wo direct kisi ko bura nahi banata, balki jaiz shikayat se shuru karke aql ke ghamand mein mubtala karta hai, yahan tak ke insaan insaf ke naam par khud hidayat ke khilaf khada ho jata hai. Aql aur science zaroori hain, lekin jab insaan unhein hi apna Khuda bana kar Allah ke hokam ko peeche chor deta hai, to wo wahi galti karta hai jo Iblees ne ki thi