Daily journel day 40 |Saturday |31-1-26
🎯Goal: initially To earn 185$/ month Money breakdown: 50000 break down 10k shanzah(wife) 10k ammi 11k ibrahim ka saman 5k zainab(sis) ko dyta 14k mera pass (petrol, koi ana jana bahr ) Groceries hamari apni dukan wahan sa ajati Eska elawa jitna bhi paisa ayen ga wo apna father ka loan utar dun ga inshAllah around 1.75cr hai 2026 ma inshAllah 5000$ earn krna monthly Eska liya roadmap jo mera mind ma hai 1.dummy bidding approved karwaon ga 2. Uska bad partnership program ma add hun ga 3. Uska bad live bids kron ga 4. Mana connects ka liya paisa jammah krna start kr diya hain Taka ma zaida sa zaida bids kr sakon 5. Bid ka bad kaam outsource karwaon ga 2 editors mera contact ma hain ⏰ 10:00 AM Main time par utha. Mama ko gym chhorra taake unka workout rush se pehle ho jaye. Phir main seedha apni dukaan chala gaya. ⏰ 12:00 PM Zainab ko hospital se pick kiya. Sab smoothly ho gaya, zyada wait nahi karna para. ⏰ 12:15 PM Ammi ki call aa gayi, is liye unhein bhi pick kiya aur phir ghar aa gaya. ⏰ 12:45 PM Ghar par shaljam ke sath roti khayi. Simple khana tha lekin kaafi satisfying laga. ⏰ 1:30 PM Sawood ke sath Toyota showroom gaya. Filter change karwana tha. Unhon ne kaha kaam 30 minutes ka hai, lekin process slow tha is liye almost 2 ghantay lag gaye. ⏰ 3:00 PM Showroom se seedha dukaan aa gaya taake kaam miss na ho. ⏰ 4:00 Baba namaz ke liye gaye. Baba Hafiz hain, is liye wahan hi siparah bhi parh liya. Baba Asar parh kar aaye aur bataya ke ab woh ghar ja rahe hain. ⏰️5:00pm to 6:00 Video ki revisions ki ⏰ 4:00 – 6:30 PM Dukaan par focused kaam kiya. Is dauran baba ke phone mein 50 contacts Urdu mein save kiye, jo kaafi time-taking kaam tha. ⏰ 7:00 PM Dukaan band ki aur din ke kaam wrap up kiye. ⏰ 7:30 PM Kal ke liye sabzi khareedi taake next day smooth rahe. ⏰ 8:00 PM Shanzah ko sath le kar bartan wali shop gaya. Wahan se non-stick items liye jo usay pasand aaye. ⏰ 8:00 AM 8 baje tak soya aur neend poori ki, jiss se body fresh feel kar rahi thi. ⏰ 10:00 AM 10 baje utha, khana khaya